aye jaate huye lamhon, zara thahero


uski yaadein hain dil mein, zara thahero…

main bhi chalta hoon,

jo ik baat dil mein hai

tum se kahun to chalun…….

tere chahere ki ye narmiyaan,

teri zulfon ki ye badliyaan,

teri aankhon ke roshan diye,

tere hothon ki ye surkhiyaan,

tujhe apne dil mein chhupa loon to chalun….!

main kahin bhi rahoon aye sanam

mujhko hai zindgi ki kasam

faasle aate jaate rahein

pyar lekin nahin hoga kam….

tujhe chahoon, tujhe pujoon,

tujhe dekhoon, tujhe chhoo loon

tujhse baatein to kar loon

tujhe bahon mein bhar loon

tere chand se maathe ko choom loon

to chalun, to chalun, to chalun……..

ruk gayi saans ab jo meri

rahe gayi hai ye zindgi teri

meri saanso se saanso ko tum

kar lo har tamanna puri……

aakhri aas tak, aakhri saans tak

tera naam zubaan se loon,

to chalun, to chalun, to chalun……!!

Haal Pucha Naa Kare,Hath Milaya Naa Kare


Mein Issi Dhoop Me Khush Hoon Koi Saaya Naa Kare

Mein Bhi Aaqir Hoon Isi Dasht Ki Rehne Wali

Kaise Majnoo Se Kahoun Qaak Udaya Naa Kare

Aaiyana Mere Shabb Wo Roz Se Waqif Hi Nahi

Koun Hoon? Kya Hoon? Mujhe Yaad Dilaya Naa Kare

Aiyen Mumkin Hai Chali Jaye Sama’at Meri

Dil Se Kahiye Ki Bohut Shor Machaya Naa Kare

Mujh Se Rishtoun Ka Bichadna Nahi Dekha Jaata

Mujh Se Milne Woh Kisi Mod Pe Aaya Naa Kare


This entry was posted on 11:02 AM and is filed under . You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.