Bhikhari- “Das paise ka sawaal hai baabu, das paise ka



Baabu- “Wo to mai deta hoon, lekin pehle sawaal to poocho


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Shikshak- “Kya koi aadmi andhere me bhi dekh sakta hai?”

Ek Chatra- “Haan Sir, meri mummy dekh sakti hai


Shikshak- “Kaise?”

Chatra- “Kal raat cinema hall ke andhere me ve papa

se kah rahi thi ki tumhari dhaadi bahut badh gayi hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Aath saal ki bachi ne apni maa se poocha- “Mummy, Rani Elizabeth ko yah kaise pata chala ki unko bacha hone waala hai?”

Isse pehle ki maa koi jawaab deti, sabse choti bachi kah uthi- “Sabhi akhbaaro me chapa tha ki Rani ko bacha hone waala hai
Kya tum samajhti ho ki Rani akhbaar nahi padti hogi?”

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Bachi ko jor-jor se roti dekhkar maa ne poocha- “kyo roti ho?”

Bachi- “Bhaiya ne meri gudiya tod di


Maa- “Kaise? Kaise tod di?”

Bachi- “Maine gudiya uske sir par maari thi?”

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek Maa boli- “Galiyo me khel-khelkar bache

kitne gande ho jaate hai


Doosri Maa- “Haan, behanji
Ab dekho na,

das bacho ke muh dhone pade, tab kahi

jaakar mai apne guddu ko pehchaan payi


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Seeta- “Behan, bartan saaf karne ke liye sabse

achi kaun-si cheej hai?”

Geeta- “Maine bartan saaf karne ke liye bahut-si

cheeje istmaal ki, par pati se acha kisi ko nahi paya


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Pati- “Mai ghante-bhar se tumhe samjha raha hoon

aur tumhari samajh me baat nahi aa rahi hai


Tumhare dimaag me to gobar bhara hua hai


Patni- “Aur aap use ghante-bhar se chaat rahe hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Master- “Rinku, kya kar rahe ho? Padh rahe ho kya?”

Rinku- “Ji nahi Shrimaan, mai apki baat sun raha hu


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek Sajjan ne ek saat varsheeya ladki se poocha-

“Tumhare baal vaakai bahut sundar hai
Ye tumhe

kisse mile hai, mummy se ya papa se?”

Ladki- “Jaha tak mera khyaal hai, mujhe ye baal mere

papa se mile hai, kyonki unke sir ke saare baal gaayab hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Patni- “Aap hi is company ki boss hai na?”

Boss ne hairani se poocha- “Are! Aapne kaise anumaan lagaya?”

Patni- “Bahut aasaan tha
Mere pati ghar me bacho ko hansane ke liye aapki hi harkato ki nakal kiya karte hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

School se lautne ke baad Santa ne maa ko bataya-

“Lagta hai, hamari Teacher kabhi nahi nahati


Maa- “Tumne aisa kaise samajha?”

Santa- “Vah kah rahi thi ki unhone aaj tak aisa koi

bhi kaam nahi kiya, jo sabke saamne nahi kar sakti


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Nanhi bachi- “Dadiji, kya aap acting bhi karti hai?”

Dadi- “Nahi to, lekin kyo?”

Bachi- “Subah maa pitaji se kah rahi thi ki yadi aap yaha rahi to drama to jaroor hoga


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Maa- “Itne dino se tum apne premi ke saath ghoom

rahi ho, vah shaadi ke liye kuch nahi bolta,

aakhir vah chahta kya hai?”

Beti- “Pata nahi maa, jyada samay vah mujhe

andhere me hi rakhta hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Bus Driver Ramu ko apni seat par baitha dekhkar

bola- “Are, utho shaitaan, meri seat par kyo baitha hai?”

Ramu- “Driver uncle, mai sabse pehle aaya tha


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Jigyasu bache ne poocha- “Mummy, aap papa ko kaha mili?”

Maa- “Ek picnic me


Bacha- “Kya mai aapke saath tha?”

Maa- ‘Nahi, jab gayi thi to tum nahi the,

lekin jab mai lauti to tum saath aaye the


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Adhyapika- “Jo kaam tumne nahi kiya, uske liye

tumhe saja bhi nahi milegi


Rinki- “Dhanyavad Madam, aaj mai homework bhool gayi hoon


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Adhyapak- “Kya tum kisi badi ladai ke baare me jaante ho?

Ramesh- “Ji haan, lekin baat yah hai ki mummy ne ghar ki baate baahar batane se mana kiya hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Master- “Rakesh, suna hai, tumhare ghar me naya baby aaya hai?”

Rakesh- “Ji, naya kyo kehte hai aap? Jab rota hai

to aisa lagta hai ki barso se rona seekhta raha hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Maa- “Rinku, tum bure bacho ke saath kyo khelte ho,

ache bacho ke saath kyo nahi khelte?”

Rinku- “Maa, un ache bacho ki maatao ne apne

bacho ko mere saath khelne se mana kar diya hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek school me teen bhai padhte the
Inspector ne muaayne ke waqt sabse chote bhai se poocha- “Tumhare bhaiyo ke mooche nahi hai, par tumhare kyo hai, jabki tum sabse chote ho?”

Chote bhai ne jawaab diya- “Meri shakal Papa par hai aur un dono ki shakal Maa par


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Praathmik upchar ki pariksha chal rahi thi
Parikshak ne ek vidhyarthi se poocha- “Agar sadak par koi behosh pada aadmi dikh jaye, to aap kya karenge?”

Santa- “Mai use thodi-si brandy doonga


Parikshak- “Yadi us waqt aapke paas brandy na ho tab?”

Santa- “To brandy dene ka aashvasan doonga


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek Chote ladke ne apne adhyapak ko chunauti dete huye poocha- “Agar George Washington sachmuch ek imaandaar vyakti the, to unke janamdin par banko ko kyo band rakha jaata hai?”

*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Master- “Batao, gadhe aur manushya me kya fark hai?”

Vidhyarthi- “Manushya ko gadha kaha ja sakta hai,

parantu gadhe ko manushya nahi kaha ja sakta


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Adhyapak- “Bacho, mil-julkar kaam karna achi baat hai


Chaatra- “Lekin sir, pariksha me aap hi hame mil-julkar kaam nahi karne dete


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Santa- “Maine talaak dene ki or pehla kadam utha liya hai


Banta- “Vah kaise?”

Santa- “Maine shaadi kar li hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Train me saamne ki seat par baithe pati chew gum chaba rahe the
Kaafi der baad saamne ki seat par baithi unki patni boli- “Darling, I am sorry, tum itni der se mujhse bole ja rahe ho, par mai jawaab nahi de rahi hoon
Mere beherepan me yahi to musibat hai, jara jor-jor se bole


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Pati- “Abhi Reena ki shaadi ki jaldi hi kya hai?

Bahut samay pada hai
Jab tak koi acha ladka na mil jaye, tab tak hame pratiksha karni chahiye


Patni- “Pratiksha bhi kab tak ki ja sakti hai, jab mai

Reena ki umra ki thi, tab mere ghar waalo ne hi acha

ladka talaash karne ki koshish kaha ki thi


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Maa- “Beta, tumhaara office ka kaam kaisa chal raha hai
Sab thik to hai na?”

Beta- “Mere neeche pachees aadmi kaam karte hai maa


Maa khushi se- “To kya mera beta vaha bada

Officer ban gaya hai?”

Beta- “Nahi! Darahsal mai Upri manjil me kaam karta hoon


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek nai-nai dulhan ne apne pati se poocha- “Yadi mai kabhi moti ho jau to kya tab bhi tum mujhe chahte rahoge?”

Pati- “Kabhi nahi
Maine kewal ache-bure dino me saath dene ka vachan diya hai
Mote-patle ki koi baat nahi hui thi


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Putra- “Papa! Sadak banane me kin-kin cheejo ki jarurat hoti hai?”

Pita- “Aaj to sawaal pooch-poochkar tune tang hi kar dala, yadi itne hi sawaal maine apne papa se kiye hote to kya hota batao?”

Putra- “Aapko mere sawaalo ke jawaab dene aa jaate


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Santa- “Ab mai kisi ladki ke saamne shaadi ki

baat nahi rakhunga


Banta- “Kyo… Kya phir kisi ne mana kar diya?”

Santa- “Nahi yaar, ek ladki ne sweekar kar liya hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Office me patni ki chithi aayi
Apne maayke se bheji thi
Pati ka mitra patra me jhaankne laga to pati ne liphapha uske saamne daal diya- “Lo, padh lo


Mitra ne dekha to chaukkar bola- “Isme to saada kaagaj hai yaar


Pati- “Haan
Aajkal hamaari bolchaal band hai


Vah jhagda karke ghar se gayi hai


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Premi- “Chalo, cinema chalte hai
Pichli seat

ka ticket le lenge


Premika- “Agar pichli seat ka ticket na mila to?”

Premi- “To phir film hi dekh lenge


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Patni pyaar se- “Khaana ban gaya hai
Garm-garm

phulke khakar jaaiye


Pati- “Burnol (antiseptic cream) hai ghar me?”

Patni- “Haan


Pati- “Phir to kha lunga


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek vidhwa ne apne swargiya pati ki kabra par lage pathar par likhvaya- “Yaha aaraam karta hai vah pati,

jo apni patni ke liye paanch laakh rupye chod gaya aur jisne shehar ke saare patiyo ke liye ek misaal chodi


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Santa- “Jis din meri patni aayi usi din mera

khajaanchi mere kuch rupaye lekar bhaag gaya


Banta- “Tum nahi jaante ki musibat kabhi

akele nahi aati


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek khoobsurat stree jaasusi upanyaas padte-padte

apne pati se poochne lagi- “yadi koi khoobsurat

ladka mujhe bhagakar le jaye to tum kya karoge?”

Pati- “Mai usse kahunga, khuda ke bande, bhagakar

le jaane ki kya jarurat hai, aaram se le jao


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Ek pustak ke pehle panne par likha hai- “Mohabbat ke maare ko aatmahatya se rokne ka sabse aasaan upaay hai, shaadi


Aur usi pustak ke sabse aakhiri panne par likha hai- “shaadi se bachne ka bas ek hi upaay hai aur vah hai aatmahatya


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Maa- “Beta, koyle nahi hai, roti kaise banegi?”

Beta- “Chaaval bana lena, maa


*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*

Seeta- “Hamaare ghar me saara saamaan imported

yaani videshi hai


Geeta- “Aur aapke pati…?”


This entry was posted on 2:57 PM and is filed under . You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.